Apni hasti ki mai tumhe kya misaal don
Log mashhoor hogaye hame badnaam karte karte
Usko dekh leta tha to bhok mit jati thi
Meri ankhon ka rizq tha mere yar ka chehra
Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna
Zameen bhi sholay ughle gi jab aaya ruburu mai
Hum log bhi ajeeb hain sawab ki khatir mare howe insan ko kaandha zaroor dete hain magar zinda insan ka sahara banne se katraate hain
Bas sun Kar Mera lehja wo samajhta hai sab acha
Muddat howi usne Meri ankhen nahi dekhin
Har pal dehan mai basne wale
Log afsane hojate hain
Ankhen borhi hojati hain
Khawab purane hojate hain
Har aik ke naseeb mai kahan likhi hain chahatain
Kuch log ate hain dunya mai faqat tanhaiyun keliye
Kehta tha ke tu na mila to mar jaonga mai
Wo aaj bhi zinda hai yahi baat kisi aur ko kehne keliye
0 Comments